Friday 29 November 2013

Problems for Muslim Youth During Internet Earnings & Their Solutions

Assalam-u-Alaikum, Kiya khayal ha Dosto..
 Bohat se Friends Aksar Internet se Earning k Mutaliq Puchte rehte hain. Kuch Friends Earning kar b rahe hain. Main khud Last 2 Years se Internet se Khud Earning kr raha hun. Is silsily mein ye Problems
hoti hain:
Kuch Earning Websites to Bilkul Fraud hain. In se koi Earning nhi hoti. Jaise PTC ki kuch Websites, SiteTalk, TCN etc.
Kuch Websites se Earning to hoti he, laikin boht hi Slow hoti he. In pe Time boht zaya hota he, Jb k faida boht kam hota he. Jaise Adf.ly
Kuch Websites aisi hain, Jin se Earning to hoti he, Laikin wo jo Method use krti hain, wo Islam mein Haram he. Ye log Aam tor pe logon ko Be-waqoof bnane k liye Jhoote Fatwa-Jat k Istimal krte hain & Apne Methods ko Halal Sabit krne ki koshish krte rehte hain. Laikin Main ne Mukhtalif Mufti Hazraat se Ruju kia to Pata Chala k ye Bilkul Haram hain. In mein gmi, One-X & in jaisi other websites Shamil hain. Jo Friends is Type ki kisi Websites pe kam krna chahte hain, ya kr rahe hain, unhein chahiye k wo pehle kisi Mutabir Mufti Sahib se puch lein.
Internet se Earning k kuch Methods aise hain jo Haram to nhi hain, in se Earning b kafi ho jati he (jaise Google Adsense, Data entry jobs etc.), Laikin in mein b kafi Problems hain:

In Methods se Earning krne k liye kafi Time daina parta he.
In mein se Zyada tar kam kafi Mushkil hote hain & Sirf Professional Experts hi inhein behtar tor pe Sar-Anjam de skte hain.
In methods se Earning ko easy & Fast bnane k liye boht si Tricks Istimal ki jati hain, jo Earning ko Haram bana daiti hain.
In methods ki Owner Mukhtalif Companies Halal & Haram, dono types k Business krti hain. Is trah hamein milne wali Payment mein Haram ki Raqam b Shamil hoti he.
Internet Earning k liye in baton ka khiyal Zrur rakhein:
Koi b Method Start krne se pehle kisi Expert se Mashwara kr lein, ta k Earning easy ho jaye & pata chal jaye k kahin ye Fraud to nhi.
Kisi Mutabir Mufti Sahib se Mil kar ya Khat likh kr ye conform kr lein k kahin ye Haram to nhi.
Try krein k kisi Muslim Company k Trough Earning krein, kiun k unhein kam az kam Halal & Haram ka Farq to pta ho ga.
Pakistani & Muslim IT Experts & Investors se Meri Request he k wo Mufti Sahiban se Mushawart k bad Aise Plans & Earning Methods Start krein, jin se Achi Earning ho jati ho & wo 100% Halal b hon.
Agr Aap ko Internet pe koi aisi Job nhi mil rahi, Jo 100% Halal & Fast Earning daiti ho, to Aap Internet k ilawa is type ki Other Jobs search krein, ta k Aap Haram se bach skein.

Note: Agr kisi Friend ko aise kisi Job k Mutaliq pata ho to muje zrur btayein. Main b Search kr raha hun.

No comments:

Post a Comment